धन प्राप्ति के लिए वास्तु शास्त्र के सरल टोटके
Vastu ka prabhav kisi bhi vayakti mki disha or dasha dono ko badal skta hai. Kayi baar vayakti vyakti nivas or vyavsay sthala me anek prakar ki smasyayo ka samna krne lgta hai. Ghar me dhan ki kami, dampatya jivan me kalesh or katuta utpann hone lgti hai. Ghr ka vatavaran jehar saman ho jata hai. Vyavsay me bhi akaek bhari ghate ki sthiti utpann ho jati hai. Bite kal tak acchi unnti krta vyavsay achanak preshanio se ghir jata hai. aay me kami ho jati hai, vyarth ke vyay bad jate hai. Svayam ko bnaye rkhne ke liye karj ka aashray lena padta hai. Achanak is sthiti me akar vyakti reh jata hai.
Veh isse niklne ke prayas krta hai par sabhi nishfal ho jate hai. Issse veh sochne par majbur ho jata hai ki kahi us par kisi shatru ne tone totke ya jadu to nhi krava diya hai. Is trah ki soch se veh fir se naye upay or totke me lag jata hai. Par vastav me is sthiti ke liye koi or karan jimedar na hokar ghar ka ya vyavsay ka bhigda avam dosh puran vastu hi hota hai par is tarah kisi ka bhi dhayan nhi jata hai or veh lagatar lambe samay tak is shapit avastha ko bhogne ke liye vivash rehte hai.
Hmare best astrologer Arun Kumar ji ko apko vastu shastra ke dhan prapti ke totke or upay btayege jiske krne se apko dhan ki kami nhi rhegi or na hi ghar me kaleh laesh hoga.
* Ghar ka sabse bada vastu dosh ghar ke mukhya dvar se shuru ho jata hai. Aap apne ghar ya karyalay ke mukhya dvar par ye jarur dhyan de ki drwaje ke thik samne koi rukawat, kude ka dher. Ped, bheta pani, mandir ki chaya athva dusre bhavan ka kon athva koi vastu na ho. Aisa hone par ghar me nkaratmak urja ka adhik pravesh hota hai. Yadi apke mukhya dvar par aisa hota hai to mukhya dvar par “Pakva Miror” lgaye.
* mukhya dvar ke andar or bahar shree Ganesh ki pratima lgaye to nakaratmak urja smapat hone lgti hai or maa lakshmi ke pravesh ka marg prashast hota hai.
* ghar ke neritya kon (pashchim va dakshin ka kona) me “Sidh Vastu Dosh Nivarak Yantra” avashy lgaye. Iske prabhav se apke nivas athva vyavsayik stahal ke anjane vastu dosh svatah hi smapat ho jayege.
* ghar ya office ke “Ishan Kon” me devi devatao ki tasvir lgakar roj puja kre. Us jagah ki niyamit rup se safai krte rehna chahiye kyuki maa lakshmi ka nivas vahi hota hai jaha par saf safai ho or puja bhi ho.
* apne ghar ya office eke puja sthal me abhimantrit “shree yantra” ya “Kuber Yantra’ jrur rkhe, kyuki maa lakshmi ka vachan hai ki jis sthan par abhimantrit “Shree Yantra” ki puja archana hogi vaha unhe rukna hi hoga.