Monday 21 August 2017

भाग्य बदलने के उपाय | दुर्भाग्य को दूर करने के अचूक उपाय

दुर्भाग्य को दूर करना चाहते है तो कीजिये ये आसान से ज्योतिष उपाय


Agar apko aisa lagta hai ki apka bhagya apka sath nahi de rha ya app par har waqt koi na koi samsya madrati rehti hai ya fir app jis bhi kam me hath dalte hai to usme apko saflta nahi milti. Aise kyu hota hai kyuki kabhi apki kunbdli me kuch aise greh dosh hote hai jiski vjah se manushya ko preshanio ka samna karna padta hai. Kundli ke aise dosho ko dur karne ke liye jis greh ka dosh hota hai us greh ke liye upay karne chahiye. Inke sath sath kuch aise or bhi upay jiske ke har roj karne se jaldi shubh fal ki prapti hoti hai. 

Hmare best astrologer Arun Kumar ji apko aaj aise upaye btane ja rhe hai jisse aap apne bhagya ko badal sakte hai. 



1. Pakshio ko roj anaj khilaye.

2. Machlio ko attay ki goliyaan bnakar khilay.

3. Jab bhi ghar se bahar nikle pehle tulsi ka ek patta nigal le. Dhyan rakhe ki tulsi ka patta chabbaye nahi.

4. Bhagwan bhole nath ke mandir ja kar shivling par jal chadaye or jal chadate waqt “OM NAMAH SHIVAY” mantra ka jaap kare.

5. Nhate samay abhi tirth sathano ka dhyan karna chahiye.

6. Apne purse me hmesha 5 long jrur rakhe. 

7. Jab bhi ghar se bahar niklne lge to pehle ghar ki dehlij ke bahar kali mirch ke dane daal de or un par pair rakhkar nikal jaye or palatkar na dekhe.

8. Agar apka kam har bar atkta ho to ghar se niklne se pehle kacchay dudh se hath dhoye.

9. Ghar ke bado ka ashirwad lekar or dahi or chini khakar niklne se kamo me saflta milti hai.

10. Jab bhi khana khaye hmesha uttar ya purav disha ki taraf muh karke khaye. Khane se pehle ishat dev ka dhyan jarur kare.

11. Ghar me banne vali sabse pehli roti gaye ko khilaye or sabse akhri roti tel lgakar kuttay ko de.

12. Jab bhi kisi naye ya jruri kam ke liye ghar se jaye to mata pita or ghar ke bado ka ashirwad jarur le. 

13. Har shukvar ko safed rang ki mithayi kanyayo ko daan kare.

14. Raat ke samay juthe bartan ghar me na rakhe or thali juthan na chode.


No comments:

Post a Comment