Shradh paksh ka hindu dharam me bada hi mahatav hai. Prachin snatna
dharam ke anusar hmare purvaj devtulya hai or is dharti par hamne jivan prapt
kiya hai or jis prakar unhone hmara lalan-palan kar hame kritarth kiya hai unke
in karyo se hum unke rinni hai. Samarpan or kritghyta ki isi bhawna se shradh paksh prerit hai, jo jatak ko
pittar rinn se mukti ka marag dikhata hai.
Shradh shabad Shardha se bana hai jo ki shradh ka pratham anivarya
tatav hai arthat pittro ke prati shardha to avashya honi hi chahiye. Ashwin
krishan paksh ki pratipada tithi se amavasya tak ka samay shradh ya Mahalay
paksh kehlata hai. Is avadhi ke 16 din pittro arthat shradh karam ke liye
vishesh roop se nirdharit kioye gye hai. Yahi avadhi pitra pakash ke naam se
jani jati hai.
Garud Puran me varnit pittar
rinn mukti marag rekha:
Kalapdev kurvit samaye shradham
kule kashchinn sidti |
Aayu: putran yash: swaragm
kirtim pushtim balamshriyam ||
Pashun sokhyam dhanam prapnuyat
pitarpujnat |
Devkaryaadpi sada vishishyte ||
Devtabhay: pitrnam hi purvmapyaynam
shubam ||
Is ka arth hai, samyanusar shradh karne se kul me koi dukhi nahi rehta.
Pitro ki puja karke manushya aayu, putar, yash, swarg, kirti, pushti, bal,
shree, pashu, sukh or dhan-dhanya prapt karta hai. Devkarya se bhi pitrakarya
ka vishesh mahatav hai | Devtayo se pehle pitro ko prasann karna adhik
kalyankari hai.
Kyu ki jati hai Pitrapuja: - Pitra
paksh me kiye gye karyo se purvajo ki atma ko shanti prapat hoti hai tatha
karta ko pitra rinn se mukti milti hai. Atma ki amrata ka sidhant to savayam
bhagwan Shree Krishan Geeta me updeshit karte hai. Atma jab tak apne param-atma
se sanyog nahi kar leti , tab tak vibhinn yoniyo me bhatkati rehti hai or is
doran use shardh karam santushti milti hai.
Shastro me devtayo se pehle pittro ko prasann krna adhik kalyankari
kaha gya hai. Yahi karan hai ki devpujan se purav pitar pujan kiye jane ka
vidhan hai.
No comments:
Post a Comment