Wednesday, 26 April 2017

Graho Ke Upay by Our Best Astrologer – Part - 2

Pichli post apko Surya greh ke prabhav or uske upay ke bare me btaya tha. Aaj best astrologer Arun Kumar ji apko Chandrma ke prabhav ke bare me batayege.  Chandrma greh ke bare me kuch totke pichli post me btaye thay ab usse agay chaltay hai.



* Chandarma agar tritya bhav me sthit hokar anishtkari sidh ho rha ho to sabaj rang ka kapda ladkio ko daan me dena chahiye. Yeh tritya bhav me prakritik rashi teen sakhya ki arthat budh ki hai or budh sabj arthat hare rang ka bhi hai, kapda bhi hai or ladki bhi. Isliye is prakar tritaya rashi ka bhi dhyan yadi rakha jaye to upay ke hetu sangat hone ka bhed samaj me aa jata hai.

* Chandrma yagi chathurth bhav me anishtkari sidh ho rha ho to rat ko dudh ka prayog na kre. Aisi sthiti me logo ko dudh nishulak pilana chahiye.

* Chandrma jab ashatam bhav me sthit hokar anishatkari sidh ho rha ho to totke ke roop me aap shamshan ki sima ke andar sthit kuye ka pani apne ghar me rakhe.  Aisa krna Chandra ke anishatkari fal ko dur krne vala sidh hoga.

* Chandrma yadi akadash bhav me sthit hokar anishatkari sidh ho rha ho to totke ke roop me bhairav ji ke mandir me dudh dena labhprad hoga. Yaha bhi chunki chandrma akadash bhav ki prakritik rashi kumbh me, jo iske shatru shani ki rashi ka swami hai, bhairav ka roop hai.

* Mangal ke liye sadharan niyam hai ki mangal yadi anishat fal kar rha ho to ise dur krne ke liye tandur me mithi roti lgvakar daan kre ya revadia pani me baha de. Isi prakar mitha bhojan daan kre ya btasha dariya me daal de. Mangal ke daan me di jane vali vastuyo me masur ki daal hai. Pass rakhne vali vastuye jinke pass rakhne me mangal ka anishat fal dur hota hai vo hai hiran ki chaal. Mangal ke devta hanuman ji hai, isliye unki puja kre or Prasad le.

* Budh jab budh apni isi sthiti se anishat kar rha ho to kodiyo ko jlakar unki rakh ko usi din dariya me baha de ya tambe ke paise me surakh karke dariya me daal de. Budh se sambhandhit daan ki vastu hai sabut mung. Isko balvan krne ke liye panna hai. Budh ka devta Durga ji hai, isliye jab budh anishatkari ho to durga sapatshati ka path rkhe. Durga ji ka pujan kre. Jiska budh anishatkari ho uska naak ka chedan karvana labhprad hoga.isi prakar fitkari se dant saaf krna or ladkio ki puja sewa krna bhi labhprad rhega. Yadi budh ke anishatkari hone se koi rog ho rha ho to foka kaddu (jo halwai log mithayi bnane me kaam late hai) dharma sthan me daan dena chahiye. Budh yadi lgan me sthit hokar anishatkari sidh ho rha ho to uska anishat prabhav mangal par, jo ki lagan ki prakritik rashi mesh ka swami hai, hoga na ki surya par jo pratham bhav ka karak hai, isliye mangal ki vastuyo ka saan dena labhprad rhega. Budh ki daan ki vastuyo me bakri bhi sammilit hai yani ki bakri ke daan se bhi budh ka anishtkari prabhav shant hota hai.

* Budh  jab saptam bhav me anishatkari hoga to uski nishani yeh hogi ki apni behan tatha baap ki behan ko kashat hoga.


Ye to thay Chandrma or budh greh ke prabhav or unke totke ke bare me. Agay ki post me hum  baki greho ke bare me charcha krege. Agar apko in sabki or adhik jankari chaiye to aap hmare vashikaran specialist Arun Kumar ji se baat kar skte hai. 

3 comments: